skip to main
|
skip to sidebar
ASHAAR-E-AHLEBAIT(a.s.)
Tuesday, October 21, 2008
J. Zainab (s.a.)
Baland Haidare Karrar ki aabru bhi hai,
Faqat dohi logon ne justuju ki hai,
Ekhai Khaliqe Akbar aur ek Zainabe (a.s.) Kubra,
Ke jisne lehjaye Haidar (a.s.) me guftugu ki hai.
Janabe Sakina (a.s.)
Kamsin hai magar mohsinaye zaate jali hai,
Khaliq ki qasam noor sarapa hai sakina (a.s.),
aur idrak ne sadyon se safar karke ye jaana,
Shabbir (a.s.) Mohammad (s.a.w.) hai to Zehra (s.a.) hai Sakina (a.s.)
Rasool-e-Akram (s.a.w.)
Rasool ka naam jo likhti hai ungliyan meri,
usko padh ke chamakti hain putliyan meri,
Chuwa tha Khwab me ek roz rasool ka roza,
mahek rahi hain ab tak hateliyan meri.
Imam Ali (a.s.)
Madh ka sher jab sunata hoon,
Daad muskhil kusha se pata hoon,
mujhko naade Ali se mat roko,
jiska khata hoon uska gata hoon.
Imam Husain (a.s.)
Husain (a.s.) sabko kahan dastyab hota hai,
Kahin babool ke upar gulab hota hai.
H. Abbas (a.s.)
Uski nazroon ne bohot door se pani dekha,
Jiski nazroon ne bohot pyas ka darya dekha,
bhai dekhe hain zamane me hazaroon lekin,
Ek bhai bhi na Abbas (a.s.) ke jaisa dekha.
Imam Husain (a.s.)
Bhule se shak na karna shahidon ke khun par,
Shabbir hi ke naam ke nukte hain sheen par,
usne kabhi kisika bhi ahsaan nahi liya,
woh dafn bhi huwa hai to apni zameen par.
Meraj
Log Meraje Payambar ke qayel hain magar,
Baat Haider (a.s.) ki aayi to bura maan gaye,
sabka ikraar kiya jism ka inkaar kiya,
ham ne nalain dikhayi to bura maan gaye.
J. Abu Talib (a.s.)
Anjaam diye tune woh kaam Abu Talib (a.s.)
Baqi hai tere dam se Islam Abu Talib (a.s.)
Pohache ga jab kawsar pe Shabbir (a.s.) ka shedayi
Ek jaam Ali (a.s.) denge ek jaam Abu Talib (a.s.)
Janabe Ali Asgar (a.s.)
Kitabe tashnagi ka jab kahin bhi tarjuma hoga,
To us ke safhe safe par Ali Asgar (a.s.) likha hoga,
Jise Abbas (a.s.) jaisa surma joola julaye,
Zara Socho woh baccha bada hoga to kya hoga.
H. Ali (a.s.)
Tarikhe Kayenat ka unwan hai Ali (a.s.)
Roze ajal se markaze iman hai Ali (a.s.)
Quran se pehle hafize quran hai Ali (a.s.)
Allah ke wujud ka elan hai Ali (a.s.)
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)
Blog Archive
▼
2008
(19)
▼
October
(11)
J. Zainab (s.a.)
Janabe Sakina (a.s.)
Rasool-e-Akram (s.a.w.)
Imam Ali (a.s.)
Imam Husain (a.s.)
H. Abbas (a.s.)
Imam Husain (a.s.)
Meraj
J. Abu Talib (a.s.)
Janabe Ali Asgar (a.s.)
H. Ali (a.s.)
►
August
(1)
►
July
(7)
Contributors
Tanveer Devji
admin