Tuesday, October 21, 2008

J. Zainab (s.a.)

Baland Haidare Karrar ki aabru bhi hai,
Faqat dohi logon ne justuju ki hai,

Ekhai Khaliqe Akbar aur ek Zainabe (a.s.) Kubra,
Ke jisne lehjaye Haidar (a.s.) me guftugu ki hai.

Janabe Sakina (a.s.)

Kamsin hai magar mohsinaye zaate jali hai,
Khaliq ki qasam noor sarapa hai sakina (a.s.),

aur idrak ne sadyon se safar karke ye jaana,
Shabbir (a.s.) Mohammad (s.a.w.) hai to Zehra (s.a.) hai Sakina (a.s.)

Rasool-e-Akram (s.a.w.)

Rasool ka naam jo likhti hai ungliyan meri,
 usko padh ke chamakti hain putliyan meri,

Chuwa tha Khwab me ek roz rasool ka roza,
mahek rahi hain ab tak hateliyan meri.


Imam Ali (a.s.)

Madh ka sher jab sunata hoon,
Daad muskhil kusha se pata hoon,

mujhko naade Ali se mat roko,
jiska khata hoon uska gata hoon.

Imam Husain (a.s.)

Husain (a.s.) sabko kahan dastyab hota hai,
Kahin babool ke upar gulab hota hai.

H. Abbas (a.s.)

Uski nazroon ne bohot door se pani dekha,
Jiski nazroon ne bohot pyas ka darya dekha,

bhai dekhe hain zamane me hazaroon lekin,
Ek bhai bhi na Abbas (a.s.) ke jaisa dekha.

Imam Husain (a.s.)

Bhule se shak na karna shahidon ke khun par,
Shabbir hi ke naam ke nukte hain sheen par,

usne kabhi kisika bhi ahsaan nahi liya,
woh dafn bhi huwa hai to apni zameen par.